Gareeb ki taqat uski vote hoti hai
Shakti Kapoor
Pichle pachaas saalo mein hamare desh ne sirf mantri aur minister paida kiye hai ... ek neta paida nahi kiya
Nana Patekar
Ek masoom aadmi neta ke liye apni jaan dene ko tayaar hota hai ... lekin azaadi ke baad aaj tak kya kisi neta ne apne ek aam aadmi ke liye jaan di hai?
Anupam Kher
Rajneeti aur dharam yeh do aaise shastra hai ... jisse koi bhi bandhan kaate ja sakte hai, todhe ja sakte hai
Satish Shah
Politics mein sahi galat ka koi barometer nahi hota ... joh sahi hai woh sahi hai ... aur joh galat hai woh bhi sahi hai
Unknown
Politics is the most lucrative business
Jackie Shroff
Jeevan mein teen cheezon se hamesha parez rakhiye ... shakkar, namak aur neta
Raj Babbar
Woh dekho desh ka neta ... arre mooh se bhi khaata, arre kaan se khaata ... iska yahan bhi khaata, iska wahan bhi khaata
Jhoot ka bhi rajneeti mein ek khaas maqam hai
Sonu Walia
Jo neta desh ko progress ki aur le jaaye, us desh bhakt ko shaheed ho jaana chahiye
Dalip Tahil
Police aur neta is system ka woh hissa hai jinhe chheda nahi jaata ... lekin agar baat hadh se aage badh jaaye toh chhoda bhi nahi jaata
Rajeev Khandelwal
Ab is desh mein Gandhi ke maiyne badal chuke hai
Neil Nitin Mukesh
Politics mein right aur wrong nahi hota ... politics mein manzil hi sab kuch hai ... rasta chahe koi bhi ho
Surekha Sikri
Chunaav aur politics akal ka khel hai ... umeedvaar chahe koi bhi ho ... agar uske peeche akal hai, organization hai, planning hai toh woh zaroor jeetta hai
Neta logon ki aadat hi hai ... jab soote hai toh soote rehte hai ... aur jab jagenge toh cheenkhne chilaane lagte hai
Hamara raaj aur tumhari neeti ... in dono ke gathbandan se hi chalti hai tumhari raajneeti
Mukesh Rishi
Main janta hoon ki tumhare haath bahut lambe hai, bahut upar tak jaate hai ... lekin khaki ke samne khadi ki taqat dikhane ki koshish mat karo ... kyun ki main yeh khaki utarkar khadi pehan sakta hoon ... lekin tumhare neta khadi utarkar khaki nahi pehen sakte
Mukesh Khanna
Rajneeti mein goonge aur behre bankar raho ... toh raj karoge
Sadashiv Amrapurkar
Neta jab tak giraftar nahi hota usse naam nahi milta ... logon ki humdardiyan nahi milti
Kader Khan
Politics bahut kuch deti hai ... paise, power, position, pehchaan ... magar bahut kuch le bhi leti hai ... aur issi lein dein mein insaan kabhi kabhi bahut door nikal jaata hai ... kabhi khud se aur kabhi apno se
Kangana Ranaut
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory