Yah toh top pe raho ... nahi toh chup raho
Ek ne kahi duje ne maani ... Nanak kahe dono gyani
Uski life mein koi bhi problem ho ... mujhe lagta hai woh meri problem hai
Hathyar fauji ke shareer ka hissa hote hai
Sapne sabhi log dekhte hai ... lekin sakaar unke hote hai joh jeena jaante hai ... main bheed mein se ek tha ... phir lakhon mein se ek ... aur aaj karodon mein se ek ... so go for your dreams
Hamari industry bhi poori chaka-chaund se bhari hui hai ... yeh lights dekh rahe ho na, inke peeche bahut andhera hai ... aur is andhere se roshni ke safar mein sirf chaar kadam ka faasla hai ... par in chaar kadamo ko laangne mein kahi baar logon ko saalo lag jaate hai
Zindagi mein itni shiddat se nibhao apna kirdhaar ... ke parda girna ke baad bhi taaliyan bajhti rahe
Zindagi mein na sapne upload karna bada easy hota hai ... aur download karne mein poori zindagi nikal jaati hai
Kayi baar sahi manzil tak pahunchne ke liye galat raasta chunna padta hai
Insaan samajhta apni samajh ke hisaab se hi hai
Bahut kam log jaante hai ki woh bahut kam jaante hai
Rab apne bandhon ko bure waqt mein kabhi akela nahi chhodta ... himmat banke saath mein khada rehta hai
Haisiyat bhi aasmaan jaisi honi chahiye ... kyun ki zameen kitni bhi mehengi ho, koi na koi khareed hi leta hai
Agli baar kirdaar imaandar rakhna ... janazah shandaar niklega
Zindagi luta doon joh ek baar tu muskura de ... kuch nahi mera sab kuch teri hassi ke aage ... aankhon ki yeh nammi tere gham yeh sabhi, aaja dede mujhe meri jaan ... kareeb aa, kareeb aa ... sach kahunga main ... tera saath doonga main ... koi mushkil ho sab kuch sahunga main ... raaste, faasle, keh rahe hai sun bhi le ... tere saath rahunga main ... tere saath rahunga main
Purani baaton se hi aadmi ka character pata chalta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory