Vishwa mein unhi atmaon ko puja jaata hai ... joh shanti ke marg par chalte hai
Izzat, zillat, shohrat, maut ... sab uske haath mein hai
Tumne bachpan se lekar aaj tak mujhe bahut khushiyan di hai ... har baar ek muskurahat khatam hone se pehle, ek nayi muskurahat di hai
Taal se hi geet hai, taal hi sangeet hai, taal pe hi saans hai, taal se hi preet hai
Isse pyar kaho ya pagalpan ... jawani mein aaisi nadaniya ho jati hai
Tumhari jaisi sauteli beti paane ke liye ... main hazaar sagi betiyan kurbaan kar doon
Vishvas sirf dekhne se nahi hota hai ... vishvas dil se hota hai, manne se hota hai
Jurm ki chataan ko kranti ki lehren takra takrakar todh deti hai
Ek kaayar bete ka pita kehlane se kahi behtar hai ... ki ek bahadur shaheed ka baap kehlaon
Ek izzatdaar duniya ki har musibat jhel sakta hai ... lekin zaleel hokar jee nahi sakta
Kanoon us andhe musafir ki tarah hai joh apna rasta ... sabooton aur gawahi ki baisakhiyon ke sahare tay karta hai
Humne tumhare naam ki titli daboch li ... sab rang kayanat ke mutthi mein aa gaye
Duniya ke raste bade kathin hote hai ... lekin tum nirash na hona, himmat na harna ... koshisho ke pedho par hi kamyaabi ke phal lagte hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory