Tarannum woh ke joh dil se chale toh lab-e-shayar mein jaadu sa bhar de ... magar hothon se jab goonje fiza mein toh zameen aur asmaan ko ek karde
Dev Anand
Main awara sifat ka kya bataun, jahan behatun meri mehfil wahin hai ... mohabbat hai jahan bhi zameen pe, main shayar hoon meri manzil wahin hai
Aye chasm-e-tamasha jhoom zara, ab waqt nazara aa pahuncha ... Kashmir mein do din jeene ko Kashmir ka maara aa pahuncha
Joh lakhon karodon ke samajh mein aa jaye wohi meri zubaan hai ... joh lakhon karodon ko bha jaye wohi mera jazba hai ... mera dil na Hindu hai, na Musalman hai, na Sikh hai, na Isaai hai ... mera dil insaan hai, mera dil Hindustan hai
Biwi woh cheez hai joh narak ko swarg, aur swarg ko narak bana sakti hai
I. S. Johar
Prem ki pukaar agar sau-fi-sadi sach nahi hai ... toh isse bada jhooth duniya mein koi nahi ho sakta hai
Sangeet ke liye masti ki zaroorat hoti hai, aur mast hone ke liye sangeet ki ... aur kavi banne ke liye sangeet ki bhi aur masti ki bhi
Mohabbat ki kahani kuch aisi hi hoti hai ... kabhi baat banti hai, kabhi banne se pehle hi bighad jaati hai
Unknown
Jab nahi hoti ho toh mujhe yaad aati ho ... aur jab hoti ho toh aisa lagta hai ki ho nahi
Tum aam hote huye bhi khaas ho ... mitti mein baste huye bhi sona ho
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory