Bhagwan ki bhi kya leela hai ... kisse kiska saath kahan chhuda deta hai aur kahan mila deta hai
Iftekhar
Tumhe dekhte hi mere dil ka diwala aaisa nikal gaya hai jaise kisi satodiya ka nikal jaata hai ... aur mere jeevan ka karobar poora beh gaya hai ... yeh tabhi chalega jab tum apne prem ka finance mujhe dogi
Dhumal
Yeh badi badi aankhen, yeh rasile honth, yeh gora gora rang ... jism hai ki samundar ki leheren ... yahan uthti hui, yahan girti hui, yahan uthti hui, yahan girti hui ... jee chahta hai bas dekhta hi rahoon
Dharmendra
Tumhe dekhne ke pehle mera dil is aaine ki tarah bilkul kora tha ... jabse tumko dekh liya tumhari tasveer is dil ne kheench li
Haath bhi diya, zubaan bhi di, dil bhi diya ... ab haath chhodana nahi, zubaan se phirna nahi, dil todna nahi
Ladkiyan do tarah ki hoti hai ... ek tumhare jaisi jiske aate hi ghar mein ujala ho jaata hai ... aur doosri woh jiske jaate hi ghar mein diwala ho jaata hai
Unknown
Bhagwan aur chahe kuch banaye ... par aadmi ko pagal na banaye
Rajendra Nath
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory