|
Hindi Lyrics
|
English Translation
|
| In lamhon ke daaman mein | In the lap of these moments |
| Pakeezah se rishte hai | There are pure relationships |
| Koi kalma mohabbat ka | Some holy verse of love |
| Dohrate farishte hai | Is being recited by the angels |
| Khamosh si hai zameen | The earth is silent |
| Hairaan sa falak hai | The horizon is surpirsed |
| Ek noor hi noor sa | There is a shining light |
| Ab aasmaan talak hai | Now all the way to the sky |
| Nagme hi nagme hai | There are so many melodies |
| Jaagti soti fizaon mein | In the half awake, half asleep air |
| Husn hai sari adaon mein | There is beauty in every grace |
| Ishq hai jaise hawaon mein | As if love is in the air |

| Kaisa yeh ishq hai | What sort of love is this |
| Kaisa yeh khwaab hai | What sort of dream is this |
| Kaise jazbaat ka umda sailaab hai | How did the flood of emotions erupt |

| Din badle, raatein badli, baatein badli | The days, nights and talks have changed |
| Jeene ke andaaz hi badle hai | The way of living life has changed |
|
|
| In lamhon ke daaman mein | In the lap of these moments |
| Pakeezah se rishte hai | There are pure relationships |
| Koi kalma mohabbat ka | Some holy verse of love |
| Dohrate farishte hai | Is being recited by the angels |
|
|
| Samay ne yeh kya kiya | What has time done |
| Badal di hai kaaya | It has completely changed everything |
| Tumhe maine paa liya | I've attained you |
| Mujhe tumne paaya | You've attained me |
| Mile dekho aaise hai hum | We have met in such a way |
| Ke do sur ho jaise madham | Just like two tunes are playing softly |
| Koi zyada na koi kam | No one is high or low |
| Kisi raag mein | In these tunes |
| Ke prem aag mein | In the fire of love |
| Jalte dono hi ke tann bhi hai mann bhi | Both our bodies and hearts are burning |
| Mann bhi hai tann bhi | Hearts and bodies |
| Tann bhi hai mann bhi | Bodies and hearts |
| Mann bhi hai tann bhi | Hearts and bodies |
|
|
| Mere khwaabon ke is gulistan mein | In the garden of my dreams |
| Tumse hi toh bahaar chhai hai | There is spring only because of you |
| Phoolon mein rang mere the lekin | There was my colour in the flowers |
| In mein khushboo tumhi se aayi hai | But they have a fragrance due to you |
|
|
| Kyun hai yeh arzoo | Why is there such a desire |
| Kyun hai yeh justajoo | Why is there such a quest |
| Kyun dil bechain hai | Why is the heart so restless |
| Kyun dil betaab hai | Why is the heart so eager |