Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Parikshat Sahni

# 1
Maine usse ladte huye dekha hai ... uske zor mein hosh hai aur hosh mein josh hai ... jeetna uska shauk nahi, uski aadat hai ... aur harana uski aadat nahi, uska hunar hai ... uski aankh mein bijli aur baazu mein dum hai ... uska ek daav, dus ke barabar hai
I've seen him fighting ... in his power there is an awareness and in his awareness there is passion ... winning is not is hobby, it's his habit ... and defeating is not his habit, it's his talent ... there is lightning in his eyes and strength in his arms ... his one punch is equal to ten punches
# 2
Hindustan apno ka, rishton ka, mitti ki value ka desh hai
India is a country of your loved ones, your relationships and the value of our soil
# 3
Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
Every wall breaks in front of the storm of love
# 4
Woh pyar hi kya joh samay ke parivartan ke saath badal jaye
What good is that love which changes with the change in time
# 5
Betiyan gharon mein khushiyan laati hai, pyar laati hai ... lekin apne hisse ki khushi dhoondne ke liye unhe kisi aur ke ghar jaana padta hai
Daughters bring hapiness and love in homes ... but to find their share of happiness they have to go to someone else's house
# 6
Zindagi bhi ajeeb hai ... koi kisi ke itna kareeb hote huye bhi kabhi kabhi kitna door nazar aane lagta hai
Life is strange ... a person may be very close to someone but still sometimes they seem to be so far
# 7
Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai
Love is that truth whose thread has connected the entire world together
# 8
Aapke mahenge suit se mahenge ittar ki khusboo aa rahi hai ... magar uske andhar chupe aadmi se paise ki badbu aa rahi hai
The fragrance of an expensive perfume is coming from your expensive suit ... but the man inside it is stinking from money
# 9
Yahi toh kamaal hai mohabbat ka ... woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai ... jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai
This is the greatness of love ... it removes a person from the dark well of injustice and places him onto those doorsteps of the sky ... where even the sun comes to beg for sunlight
# 10
Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge ... lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega ... hamesha goonjta rahega
In the mill of time one day the ground and the sky will get crushed ... but the music of love will keep on echoing ... it will echo forever
# 11
Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai ... toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai ... fasaad ki aag jahan bhi lagti hai ... usmein saare ghar begunahon ke jalte hai ... khoon ki Holi khelte toh hai dushman ... lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
Whenever the sword of injustice comes out from the sheath ... then the first murder happens of humanity ... wherever the fire of nuisance starts ... in that all the houses of the innocent burn ... the enemies play Holi with blood ... but the colour of blood is shed by the victims
Copyright © FilmyQuotes.com