Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Mukesh Khanna

(Page 1 of 3)
# 1
Maana ki kismat ne hara diya hai dost, par itne toh gunehgar nahi hum ... mare ek sipahi ki maut, kya iske bhi haqdar nahi hum
I agree that I've lost due to luck, but I'm not such a culprit ... who doesn't even have the right to die a soldier's death
# 2
Jung mein pyar nahi hota ... lekin pyar mein jung hua karti hai
There can be no love in war ... but there can be a war in love
# 3
Bade se bade zaalimon ke zulm se bada hota hai ... ek gareeb ka inteqam
Even bigger than the injustice of the most ruthless person is ... the revenge of a poor person
# 4
Sarang ka sar sulhi par chad sakta hai, barood ki tarah phat sakta hai, kat sakta hai ... magar jhuk nahi sakta
Sarang's head can be hanged, it can blast like gunpowder, it can be slit ... but it won't bow down
# 5
Jisne dil pe zakhm khaye ho, woh is zakhm se kya gabrayega ... peeye ho jisne khoon ke aasoon, kya woh is khoon se mar jayega
The one whose heart is wounded, won't be scared of this wound ... the one who has drank tears of blood, won't die from this blood
# 6
Badalne waali hum cheez nahi ... arre hum mard hai, koi kameez nahi
I'm not someone who will change ... I'm a man and not a shirt
# 7
Apne matlab ke vaaste humne aasmano se kuch nahi maanga ... humne gulshan ki khair maangi hai koi takht-o-taj nahi maanga
I've never asked the sky anything for myself ... I've asked for good wishes of the garden and not some throne or crown
# 8
Mohabbat aisa cancer hai joh ... achche khase aadmi ko tadpa tadpa kar maar dalta hai
Love is such a cancer which ... kills a perfect person with torture
# 9
Mard ki taqat uski aankhon mein hoti hai ... lekin aurat ki taqat uski zubaan hoti hai
The strength of a man lies in his eyes ... but the strength of a woman are her words
# 10
Agar ghar ka mard bighad jaye toh sirf ek nasal barbaad hoti hai ... lekin agar ek aurat bighad jaye toh us ghar ki saat nasalen tabah ho jaati hai
If the man of the house goes rogue then only one generation is destroyed ... but if a woman goes rogue then seven generations of that house are destroyed
# 11
Pyar jab bagawat par utar aata hai ... toh koi taqat usse nahi rok sakti ... na insaan ki, na kudrat ki
When love comes down to revolution ... then no power can stop it ... not of a human, and neither that of god
# 12
Aulad ke aasoon baap ke dil pe tezaab ke boond ki tarah girte hai ... aur usse challi kar dete hai
The tears of a child fall on a father like the drops of acid ... and breaks him apart
# 13
Majboori mein daya ki bheekh maangi jaati hai ... koi shart nahi rakhi jaati
When compelled you can beg for mercy ... but you can't place a condition
# 14
Jab jab koi Dong jaisa kamina apne napaak irradon ke liye ... aatankwad ki talwar lekar Hindustan mein tahalka machayega ... toh Hindustani sipahi bhi uske mulk mein jakar ... uske tahalke ka jawab ussi tahalke se denge
Whenever a rascal like Dong for his putrid intentions ... will use the sword of terrorism to create a sensation in India ... then even the Indian soldiers will go in his country ... and will create a sensation in response to his sensation
# 15
Girre hue aasunyon ke katre ... vapas nahi uthaye ja sakte
Tear drops that fall ... cannot be picked up again
# 16
Woh us chaand ki tarah hai jismein gareebi ka daag toh hai magar ... bahut sari khoobiyon ki chamak bhi hai
He is like the moon which has a mark of poverty but ... he also has the shine of a lot of qualities
# 17
Tum ek achche khandan ki bigdi hui nasamajh aulad ho
You are a silly and aimless child belonging to a good family
# 18
Mahabharat ho yah Ramayan ... har jung ki buniyaad mein aurat hai
Whether it is Mahabharata or Ramayana ... woman is the cause for every war
# 19
Sarang ka ilaaka sher ki gufaa ki tarah hai ... jahan aane waalon ke paon ke nishaan toh milte hai magar ... jaane waalon ke paon ke nishaan nahi milte
The area of Sarang is like the cave of a tiger ... where you can see the footprints of people coming ... but you can't see the footprints of people leaving
# 20
Sirf paise ke liye jaan ka sauda toh chor, daku, smuggler aur badmash bhi karte hai ... lekin ek jhande ke liye jaan ka sauda sirf ek sipahi karta hai
Even a robber, bandit, smuggler and a goon put their life on the line for money ... but only a soldier puts his life on the line for a flag
Copyright © FilmyQuotes.com