Filmy Quotes
Dialogues, Lyrics & More

Home

Movies

Stars

Singles

Categories

Roles

Evergreen

Quiz

Support

Bajirao Mastani

Release Year - 2015
# 1
Putra agar pita ki paghdi pehan le toh usmein pita ki buddhi toh nahi aa jaati ... chandan ke vrush ko bhi sugandh dene ke liye ek umar ki avashakta hoti hai
If a son wears the headdress of a father, then he doesn't get the brains of his father ... even a Sandalwood tree needs to age so that it can give its fragrance
# 2
Aandhi roke toh hum toofan ... toofan roke toh hum aag ka dariya
If you can stop strong winds then we're a storm ... if you can stop a storm then we're a sea of fire
# 3
Adhoori mulaqat hi toh phir se milne ka vaada hota hai
An incomplete meeting is a promise to meet again
# 4
Tujhe yaad kar liya hai aayat ki tarah ... ab tera zikr hoga ibadat ki tarah
I've memorized you like a holy verse from the Quran ... now you will be mentioned like a prayer
# 5
Apni dharti, apna raaj ... Chhatrapati Shivaji ka ek hi sapna ... Hindu swaraj
Our land, our rule ... Chhatrapati Shivaji has only one dream ... Hindu kingdom
# 6
Bajirao ki raftaar hi Bajirao ki pehchaan hai
The speed of Bajirao is his identity
# 7
Kiski talvar par sar rakhon yeh bata do mujhe ... ishq karna agar khata hai toh saza do mujhe
Tell me on whose sword should I put my head to ... if being in love is a mistake then punish me
# 8
Bajirao ne Mastani se mohabbat ki hai ... ayyashi nahi
Bajirao has loved Mastani ... and it's not profligacy
# 9
Cheeteh ki chaal, baaz ki nazar aur Bajirao ki talvar par sandeh nahi karte ... kabhi bhi maat de sakti hai
Never doubt the speed of a cheetah, the vision of a hawk and Bajirao's sword ... they can outwit you at any moment
# 10
Ishq ... joh toofani dariya se bagavat kar jaaye woh ishq ... bhare darbar mein joh duniya se ladh jaaye woh ishq ... joh mehboob ko dekhe toh khuda ko bhool jaaye woh ishq
Love ... that battles stormy waters is love ... that fights against the world in front of everyone is love ... that forgets God when it sees their beloved is love
# 11
Aap humse hamari zindagi maang lete hum aapko khushi khushi de dete ... par aapne toh humse hamara guroor cheen liya
If you would have asked even for my life, I would have given that happily ... but you snatched my pride from me
# 12
Hamare dil ek saath dhadakte hai ... aur ek saath rukte bhi hai
Our hearts beat together ... and they stop together as well
# 13
Heere mein heera ho toh usse kehte hai Kohinoor ... Rao ka naam lete hi Kashi ke chehre par aata hai noor
The best of the diamonds is called as the Kohinoor ... and Kashi's face lights up when Rao's name is called
# 14
Jag mein kho jaane waale toh kabhi kabhi mil bhi jaate hai ... lekin joh apne hi ghar ke aangan mein kho jaaye ... woh itni aasaani se nahi milte
People lost in the world can be found sometimes ... but those who get lost in the courtyard of their own house ... cannot be found easily
# 15
Har dharam mohabbat sikhata hai ... par mohabbat ka toh koi dharam nahi hota ... woh khud apne aap mein ek dharam hai
Every religion teaches us love ... but love doesn't belong to any religion ... love by itself is a religion
# 16
Maratha sultanat mein agar Chhatrapati Shivaji aur Shambhuraje ke baad koi hai, toh woh sirf Baji hi Baji hai ... baaki toh sab bajhi hai
In the Maratha kingdom if there is someone after Chhatrapati Shivaji and Shambhuraje, then it's just Bajirao ... everyone else is a vegetable
# 17
Jab deewaron se zyada doori dilon mein ho jaye ... toh chatt nahi tikti
When the distance between the hearts is more than the distance between the walls ... then the roof doesn't stay
# 18
Woh veer hi kya jiske samne shrungaar apni palkein na jhuka de ... woh shrungaar hi kya jiske samne veer apni talwar na daal de
What good is a warrior in front of whom a beauty doesn't bow her eyes down ... what good is a beauty in front of whom a warrior doesn't surrender his sword
# 19
Yeh sach hai ki har dharam ne ek rang ko chun liya hai, par rang ka toh koi dharam nahi hota ... haan kabhi kabhi insaan ka mann kaala zaroor ho jaata hai joh usse rang mein bhi dharam dikhai deta hai
It's true that every religion has selected one colour, but colour itself has no religion ... yes, sometimes the heart of a human becomes black and he sees religion in colours as well
# 20
Marathaon ke paas dushman jitni daulat ho na ho ... yudh mein bahane ke liye khoon kayi zyada hai
Even if Maharashtrian's don't have as much money as their enemies ... but they still have more blood to shed in battles
# 21
Lagaam dikhti nahi hai par zubaan par honi chahiye ... samajhla
You don't see a rein on a mouth, but it must be present ... do you understand that
# 22
Har yudh ka nateeja talwaron se nahi hota ... talwar se zyada dhaar chalane waale ki soch mein honi chahiye
Every war is not decided with swords ... the thinking of a fighter must be more sharp than the sharpness of the sword
# 23
Dushman ki chaati mein talwar pironha aasaan hai ... par rishton ke motiyon mein dhaaga pironha bahut hi mushkil
Dushman ki chaati mein talwar pironha aasaan hai ... par rishton ke motiyon mein dhaaga pironha bahut hi mushkil
# 24
Surya kirano ke bina, khushboo hawa ke bina aur raja pradhaan ke bina adhoora hai
The sun without the rays, fragrance without air and a king without his people are all incomplete
# 25
Dhakhan mein agar koi bahadur hai toh woh Nizam hi Nizam hai ... baaki toh bina guthli ke aam hai
If there is anyone courageous in the south, then it's the Nizam ... everyone else is a mango without a seed
Copyright © FilmyQuotes.com